The Vvaan (2026)
Bollywood se aisi movie ayegi expect nahi tha .. agar ye telugu movie hoti to ache se celebrate karte pr isko utna promote hi nhi kiya to kab ayi kab gyi pta nahi chala..
Movie ka concept acha hai aur visually colours ache lagte par treatment aur acha ho sakta tha kuch jagah acting utni impressive nahi hai aur kuch jagah background music flat nikal jata hai, comedy kahi kahi kaam krti aur kahi pr thodi over lagti hai action choreography aur camera work decent hai.. screenplay kuch scenes ko ache se elevate kr pata hai par kuch jagah music aur performance thik se match nahi hote to utna work nhi kar pata but movie ka concept acha hai chhati maiya wala song bhi acha hai aur koi aganda nahi hai ya cringe aur adult comedy nahi hai to family ke sath enjoy kar sakte hai










