yai 8 month phela ki bat hogi raat Discord par ek ladke ka message aaya. Pehle normal baat hui, phir usne achanak poocha Kya aap meri help kar sakte ho?" Usne bataya ki 6 saal pehle college ke time woh hostel mein rehta tha. Ek raat seniors uske roommate ki ragging kar rahe the. Unhone use raat ke sannate mein hostel se kuch door railway crossing par jaakar selfie lene ko kaha. Woh ladka chala gaya, lekin wapas nahi aaya. Raat kareeb 2 baje kisi ne uske room ka darwaza khatkhataya. Usne darwaza khola toh saamne uska roommate khada tha. Woh bina kuch bole andar aaya aur apne bistar par jaakar so gaya. Subah pata chala ki uske roommate ki laash railway crossing ke paas mili hai. Postmortem mein maut ka waqt raat kareeb 1–1:30 baje bataya gaya. Ab us ladke ke dimaag mein bas ek hi sawaal hai: agar uske roommate ki maut 1:30 baje ho chuki thi, toh raat 2 baje usne apne room ka darwaza kiske liye khola tha? 6 saal beet chuke hain, lekin woh raat aaj bhi uska peecha nahi chhodti. Usne psychiatrists se lekar babas tak, har jagah help maangi, lekin woh yaad aaj bhi use sone nahi deti.